lab-e-KHamosh ko arman-e-guftugu hi sahi
lab-e-ḳhamosh ko armān-e-guftugū hī sahī
jigar meñ hausla-e-arz-e-ārzū hī sahī
asar qubūl hai mujh ko badaltī qadroñ kā
rag-e-hayāt meñ aslāf kā lahū hī sahī
namāz-e-ishq adā ho rahī hai maqtal meñ
ye pur-ḳhulūs ibādat hai be-vuzū hī sahī
use bhī ḳhauf hai gulshan meñ zard mausam kā
vo surḳh phuul kī mānind sho.ala-rū hī sahī
junūn-e-ishq ke lashkar se haar jā.egī
sipāh-e-hosh-o-ḳhirad laakh jañg-jū hī sahī
vo merī tishnagī-e-dil bujhā nahīñ saktā
khanaktā jaam chhalaktā huā subū hī sahī
maiñ ek harf-e-malāmat huuñ us ke dāman par
vo merī paak mohabbat kī aabrū hī sahī
mirī nigāh kā markaz nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo ḳhud-pasand nigāhoñ meñ ḳhūb-rū hī sahī
'sabā' ki shā.ir-e-ḳhush-fikr hai magar gumnām
har ek us se hai vāqif vo ḳhush-gulū hī sahī
lab-e-KHamosh ko arman-e-guftugu hi sahi
jigar mein hausla-e-arz-e-arzu hi sahi
asar qubul hai mujh ko badalti qadron ka
rag-e-hayat mein aslaf ka lahu hi sahi
namaz-e-ishq ada ho rahi hai maqtal mein
ye pur-KHulus ibaadat hai be-wuzu hi sahi
use bhi KHauf hai gulshan mein zard mausam ka
wo surKH phul ki manind shoala-ru hi sahi
junun-e-ishq ke lashkar se haar jaegi
sipah-e-hosh-o-KHirad lakh jang-ju hi sahi
wo meri tishnagi-e-dil bujha nahin sakta
khanakta jam chhalakta hua subu hi sahi
main ek harf-e-malamat hun us ke daman par
wo meri pak mohabbat ki aabru hi sahi
meri nigah ka markaz nahin to kuchh bhi nahin
wo KHud-pasand nigahon mein KHub-ru hi sahi
'saba' ki shair-e-KHush-fikr hai magar gumnam
har ek us se hai waqif wo KHush-gulu hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.