Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab kya khule ki quwwat-e-goyai chhin gai

Aleem Saba Navedi

lab kya khule ki quwwat-e-goyai chhin gai

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    lab kyā khule ki quvvat-e-goyā.ī chhin ga.ī

    pesh-e-nigāh vo the ki bīnā.ī chhin ga.ī

    hoñToñ pe dahshatoñ thī tuġhyānī har taraf

    saare gavāh ḳhushk the sachchā.ī chhin ga.ī

    auroñ ke naam sahī sab sohbateñ tirī

    tere baġhair bhī mirī tanhā.ī chhin ga.ī

    zulm-o-sitam taḳht-nashīnī ke din jo aa.e

    ghar ghar udaas shahr ra.anā.ī chhin ga.ī

    dast-e-nigāh jab bhī uThe haiñ ufuq samt

    āfāq ke nasīb gahrā.ī chhin ga.ī

    itnī lazīz tar thiiñ ġhalat-kāriyāñ 'sabā'

    mil kar gale burā.ī se achchhā.ī chhin ga.ī

    lab kya khule ki quwwat-e-goyai chhin gai

    pesh-e-nigah wo the ki binai chhin gai

    honTon pe dahshaton ki thi tughyani har taraf

    sare gawah KHushk the sachchai chhin gai

    auron ke nam hi sahi sab sohbaten teri

    tere baghair bhi meri tanhai chhin gai

    zulm-o-sitam ki taKHt-nashini ke din jo aae

    ghar ghar udas shahr ki ranai chhin gai

    dast-e-nigah jab bhi uThe hain ufuq ki samt

    aafaq ke nasib ki gahrai chhin gai

    itni laziz tar thin ghalat-kariyan 'saba'

    mil kar gale burai se achchhai chhin gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now