lab par un ka nam nahin hai
lab par un kā naam nahīñ hai
chain nahīñ ārām nahīñ hai
laakh bachāo mujh se dāman
merī mohabbat ḳhaam nahīñ hai
dil hai pareshāñ un kī ḳhātir
pal bhar ko ārām nahīñ hai
merī mohabbat un par kāmil
ishq mirā nākām nahīñ hai
mushkil hai har koī dekhe
us kā jalva aam nahīñ hai
paikar-e-ulfat huuñ maiñ 'tābāñ'
nafrat merā kaam nahīñ hai
lab par un ka nam nahin hai
chain nahin aaram nahin hai
lakh bachao mujh se daman
meri mohabbat KHam nahin hai
dil hai pareshan un ki KHatir
pal bhar ko aaram nahin hai
meri mohabbat un par kaamil
ishq mera nakaam nahin hai
mushkil hai har koi dekhe
us ka jalwa aam nahin hai
paikar-e-ulfat hun main 'taban'
nafrat mera kaam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.