lab pe har waqt ye gila kya hai
lab pe har vaqt ye gila kyā hai
aise jiine meñ phir mazā kyā hai
sab mohabbat meñ haar baiThe haiñ
dil ke jazbāt meñ rakhā kyā hai
sham-e-umīd haiñ jalā.e hue
ham nahīñ jānte vafā kyā hai
jis ne ham ko diyā hai zaḳhm-e-dil
pūchhte haiñ vahī huā kyā hai
jānte ho jo 'yāsmīñ' kī ġharaz
phir na pūchho ki mudda.ā kyā hai
lab pe har waqt ye gila kya hai
aise jine mein phir maza kya hai
sab mohabbat mein haar baiThe hain
dil ke jazbaat mein rakha kya hai
sham-e-umid hain jalae hue
hum nahin jaante wafa kya hai
jis ne hum ko diya hai zaKHm-e-dil
puchhte hain wahi hua kya hai
jaante ho jo 'yasmin' ki gharaz
phir na puchho ki muddaa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.