lab pe mere fariyaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
lab pe mere fariyaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
Abrar Abid
MORE BYAbrar Abid
lab pe mire fariyād nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
mujh ko kuchh bhī yaad nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
qalb-e-shikasta par jo na guzrī mujh āshufta par jo na biitī
aisī koī uftād nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
thā jo armānoñ kā Derā ārzūoñ kā hasīñ baserā
ab vo makāñ ābād nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
kaisī sub.h kī sard havā.eñ kaisī shaam kī mast fazā.eñ
tā.ir-e-dil āzād nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
ġham kī kashtī khe saktā huuñ sāġhar haath meñ le saktā huuñ
izn-e-dil barbād nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
chhīn liyā hoñToñ kā tabassum ḳhushk kiyā āñkhoñ kā qulzum
kuchh kam ye bedād nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
chheḌ na maazī ke afsāne yaad dilā mat ga.e zamāne
dil 'ābid' kā shaad nahīñ hai ai ġham-e-duniyā ai ġham-e-jānāñ
lab pe mere fariyaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
mujh ko kuchh bhi yaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
qalb-e-shikasta par jo na guzri mujh aashufta par jo na biti
aisi koi uftad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
tha jo armanon ka Dera aarzuon ka hasin basera
ab wo makan aabaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
kaisi subh ki sard hawaen kaisi sham ki mast fazaen
tair-e-dil aazad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
gham ki kashti khe sakta hun saghar hath mein le sakta hun
izn-e-dil barbaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
chhin liya honTon ka tabassum KHushk kiya aankhon ka qulzum
kuchh kam ye bedad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
chheD na mazi ke afsane yaad dila mat gae zamane
dil 'abid' ka shad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.