lab se dil ka dil se lab ka rabta koi nahin
lab se dil kā dil se lab kā rābta koī nahīñ
hasrateñ hī hasrateñ haiñ mudda.ā koī nahīñ
harf-e-ġham-e-nā-paid hai āñkhoñ meñ nam nāpaid hai
dard kā sail-e-ravāñ hai rāstā koī nahīñ
apne man kā aks hai apnī sadā kī bāzgasht
dost dushman āshnā nā-āshnā koī nahīñ
sab ke sab apne garebānoñ meñ haiñ Duube hue
gul se gul tak rishta-e-mauj-e-sabā koī nahīñ
hāl-e-zār aisā ki dekhe se taras aane lage
sañg-dil itne ki hoñToñ par duā koī nahīñ
kyā koī rākib nahīñ ham meñ samand-e-vaqt kā
naqsh-e-pā sab haiñ to kyā zanjīr-e-pā koī nahīñ
maiñ to ā.īna huuñ sab kī shakl kā ā.īna-dār
bazm meñ lekin mujhe pahchāntā koī nahīñ
dil ke Duube se miTī dast-e-shanāvar kī sakat
mauj kī tuġhyāniyoñ se Dūbtā koī nahīñ
aañkh mīchoge to kānoñ se guzar aa.egā husn
sail ko dīvār-o-dar se vāsta koī nahīñ
arsh kī chāhat ho yā pātāl kā shauq-e-safar
ibtidā kī der hai phir intihā koī nahīñ
kārvāñ 'ḳhurshīd' jaane kis guphā meñ kho gayā
raushnī kaisī ki sahrā meñ sadā koī nahīñ
lab se dil ka dil se lab ka rabta koi nahin
hasraten hi hasraten hain muddaa koi nahin
harf-e-gham-e-na-paid hai aankhon mein nam napaid hai
dard ka sail-e-rawan hai rasta koi nahin
apne man ka aks hai apni sada ki bazgasht
dost dushman aashna na-ashna koi nahin
sab ke sab apne garebanon mein hain Dube hue
gul se gul tak rishta-e-mauj-e-saba koi nahin
haal-e-zar aisa ki dekhe se taras aane lage
sang-dil itne ki honTon par dua koi nahin
kya koi rakib nahin hum mein samand-e-waqt ka
naqsh-e-pa sab hain to kya zanjir-e-pa koi nahin
main to aaina hun sab ki shakl ka aaina-dar
bazm mein lekin mujhe pahchanta koi nahin
dil ke Dube se miTi dast-e-shanawar ki sakat
mauj ki tughyaniyon se Dubta koi nahin
aankh michoge to kanon se guzar aaega husn
sail ko diwar-o-dar se wasta koi nahin
arsh ki chahat ho ya patal ka shauq-e-safar
ibtida ki der hai phir intiha koi nahin
karwan 'KHurshid' jaane kis gupha mein kho gaya
raushni kaisi ki sahra mein sada koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.