lab taraste hain iltija ke liye
lab taraste haiñ iltijā ke liye
haath uThte nahīñ du'ā ke liye
ham ne tanhā.iyoñ meñ kyā kyā lutf
ek āvāz-e-be-sadā ke liye
vo rahe ham se duur duur to kyā
ham ne bose adā adā ke liye
'ishq kī vus'ateñ ḳhudā kī panāh
hausla chāhiye vafā ke liye
gardisheñ āsmāñ ko haiñ kyā kyā
ik usī ḳhāk-e-zer-e-pā ke liye
phuul ko rang-o-rāmish-o-nik.hat
aur āvārgī sabā ke liye
mujh ko jo chāho nāseho kah lo
kuchh na kahnā use ḳhudā ke liye
lab taraste hain iltija ke liye
hath uThte nahin du'a ke liye
hum ne tanhaiyon mein kya kya lutf
ek aawaz-e-be-sada ke liye
wo rahe hum se dur dur to kya
hum ne bose ada ada ke liye
'ishq ki wus'aten KHuda ki panah
hausla chahiye wafa ke liye
gardishen aasman ko hain kya kya
ek usi KHak-e-zer-e-pa ke liye
phul ko rang-o-ramish-o-nikhat
aur aawargi saba ke liye
mujh ko jo chaho naseho kah lo
kuchh na kahna use KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.