labon par tishnagi aankhon mein hai barsat ka aalam
labon par tishnagi aankhon mein hai barsat ka aalam
Aslam Noor Aslam
MORE BYAslam Noor Aslam
laboñ par tishnagī āñkhoñ meñ hai barsāt kā aalam
ki tanhā kaise guzregā batā jazbāt kā aalam
safar ḳhushbū bane aur rāste āsān ho jaa.eñ
nigāhoñ meñ samā jaa.e jo terī zaat kā aalam
bulandī par khaḌe ho kar miyāñ hairān se kyoñ ho
samajh meñ aa gayā shāyad anokhī maat kā aalam
judā honā rag-e-jāñ se bhalā āsān hī kab thā
mire har har nafas meñ ghul gayā sakrāt kā aalam
agar haiñ niyyateñ shaffāf aur dil meñ hai gunjā.ish
sulajh kar kyuuñ nahīñ detā ye uljhī baat kā aalam
maiñ uñglī phertā huuñ jab kabhī bhīge se sāhil par
banā detā hai tasvīreñ tirī zarrāt kā aalam
labon par tishnagi aankhon mein hai barsat ka aalam
ki tanha kaise guzrega bata jazbaat ka aalam
safar KHushbu bane aur raste aasan ho jaen
nigahon mein sama jae jo teri zat ka aalam
bulandi par khaDe ho kar miyan hairan se kyon ho
samajh mein aa gaya shayad anokhi mat ka aalam
juda hona rag-e-jaan se bhala aasan hi kab tha
mere har har nafas mein ghul gaya sakraat ka aalam
agar hain niyyaten shaffaf aur dil mein hai gunjaish
sulajh kar kyun nahin deta ye uljhi baat ka aalam
main ungli pherta hun jab kabhi bhige se sahil par
bana deta hai taswiren teri zarraat ka aalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.