laD ke phir aae Dar gae shayad
laḌ ke phir aa.e Dar ga.e shāyad
bigḌe the kuchh sañvar ga.e shāyad
sab pareshāñ dilī meñ shab guzrī
baal us ke bikhar ga.e shāyad
kuchh ḳhabar hotī to na hotī ḳhabar
sūfiyāñ be-ḳhabar ga.e shāyad
haiñ makān o sarā o jā ḳhālī
yaar sab kuuch kar ga.e shāyad
aañkh ā.īna-rū chhupāte haiñ
dil ko le kar mukar ga.e shāyad
lohū āñkhoñ meñ ab nahīñ aatā
zaḳhm ab dil ke bhar ga.e shāyad
ab kahīñ jañgaloñ meñ milte nahīñ
hazrat-e-ḳhizr mar ga.e shāyad
be-kalī bhī qafas meñ hai dushvār
kaam se baal o par ga.e shāyad
shor bāzār se nahīñ uThtā
raat ko 'mīr' ghar ga.e shāyad
laD ke phir aae Dar gae shayad
bigDe the kuchh sanwar gae shayad
sab pareshan dili mein shab guzri
baal us ke bikhar gae shayad
kuchh KHabar hoti to na hoti KHabar
sufiyan be-KHabar gae shayad
hain makan o sara o ja KHali
yar sab kuch kar gae shayad
aankh aaina-ru chhupate hain
dil ko le kar mukar gae shayad
lohu aankhon mein ab nahin aata
zaKHm ab dil ke bhar gae shayad
ab kahin jangalon mein milte nahin
hazrat-e-KHizr mar gae shayad
be-kali bhi qafas mein hai dushwar
kaam se baal o par gae shayad
shor bazar se nahin uThta
raat ko 'mir' ghar gae shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.