laDka jo KHub-ru hai so mujhse bacha nahin
laḌkā jo ḳhūb-rū hai so mujh se bachā nahīñ
vo kaun hai ki jis se maiñ yaaro milā nahīñ
ai bulbulo chaman meñ na jaao ga.ī bahār
gulshan meñ ḳhār-o-ḳhas ke sivā kuchh rahā nahīñ
hai kyā sabab ki yaar na aayā ḳhabar ke ta.iiñ
shāyad kisī ne haal hamārā kahā nahīñ
aatā nahīñ vo yār-e-sitamgar to kyā huā
koī ġham to us kā dil se hamāre judā nahīñ
tārīf us ke qad kī kareñ kis tarah se ham
'tābāñ' hamārī fikr to aisī rasā nahīñ
laDka jo KHub-ru hai so mujh se bacha nahin
wo kaun hai ki jis se main yaro mila nahin
ai bulbulo chaman mein na jao gai bahaar
gulshan mein KHar-o-KHas ke siwa kuchh raha nahin
hai kya sabab ki yar na aaya KHabar ke tain
shayad kisi ne haal hamara kaha nahin
aata nahin wo yar-e-sitamgar to kya hua
koi gham to us ka dil se hamare juda nahin
tarif us ke qad ki karen kis tarah se hum
'taban' hamari fikr to aisi rasa nahin
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.