lafz abhi ijad honge har zarurat ke liye
lafz abhī ījād hoñge har zarūrat ke liye
sharh-e-rāhat ke liye ġham kī sarāhat ke liye
ab mirā chup-chāp rahnā amr-e-majbūrī sahī
maiñ ne kholī hī zabāñ kab thī shikāyat ke liye
mere chashm-o-gosh-o-lab se pūchh lo sab kuchh yahīñ
mujh ko mere sāmne laao shahādat ke liye
saḳht-koshī saḳht-jānī kī taraf laa.ī mujhe
mujh ko ye fursat ġhanīmat hai alālat ke liye
oxigen se shabistān-e-anāsir tābnāk
muztarib har zī-nafas us kī rifāqat ke liye
mar ga.e kuchh log jiine kā mudāvā soch kar
aur kuchh jiite rahe jiine kī aadat ke liye
aah marg-e-ādmī par aadmī ro.e bahut
koī bhī royā na marg-e-ādamiyat ke liye
koī mauqa zindagī kā āḳhirī mauqa nahīñ
is qadar tājīl kyoñ raf-e-kudūrat ke liye
istaqāmat ai mire dair-āshnā-e-ġham-gusār
ek aañsū hai bahut husn-e-nadāmat ke liye
koī 'nāsir' kī ġhazal koī zafar kī mai-tarañg
chāhiye kuchh to mirī shām-e-ayādat ke liye
gulshan-ābād-e-jahāñ meñ sūrat-e-shabnam 'hafīz'
ham agar ro.e bhī to rone kī fursat ke liye
lafz abhi ijad honge har zarurat ke liye
sharh-e-rahat ke liye gham ki sarahat ke liye
ab mera chup-chap rahna amr-e-majburi sahi
main ne kholi hi zaban kab thi shikayat ke liye
mere chashm-o-gosh-o-lab se puchh lo sab kuchh yahin
mujh ko mere samne lao shahadat ke liye
saKHt-koshi saKHt-jaani ki taraf lai mujhe
mujh ko ye fursat ghanimat hai alalat ke liye
oxigen se shabistan-e-anasir tabnak
muztarib har zi-nafas us ki rifaqat ke liye
mar gae kuchh log jine ka mudawa soch kar
aur kuchh jite rahe jine ki aadat ke liye
aah marg-e-admi par aadmi roe bahut
koi bhi roya na marg-e-adamiyat ke liye
koi mauqa zindagi ka aaKHiri mauqa nahin
is qadar tajil kyon raf-e-kudurat ke liye
istaqamat ai mere dair-ashna-e-gham-gusar
ek aansu hai bahut husn-e-nadamat ke liye
koi 'nasir' ki ghazal koi zafar ki mai-tarang
chahiye kuchh to meri sham-e-ayaadat ke liye
gulshan-abaad-e-jahan mein surat-e-shabnam 'hafiz'
hum agar roe bhi to rone ki fursat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.