lafz be-jaan hain mere ruh-e-maani mujhe de
lafz be-jāñ haiñ mire rūh-e-ma.ānī mujhe de
apnī taḳhlīq se tū koī nishānī mujhe de
terā bhī naam rahe maiñ bhī amar ho jā.ūñ
aisā unvān koī aisī kahānī mujhe de
chal rahī hai baḌī shiddat se yahāñ sard havā
mujh ko bujhne se bachā soz-e-nihānī mujhe de
ye hasīñ peḌ ye ḳhushbū mirī kamzorī hai
din kā sab maal tirā raat kī raanī mujhe de
merā mushkil hai safar tere sahāre ke baġhair
rukne lag jā.ūñ agar maiñ to ravānī mujhe de
is qadar dhāñdlī achchhī nahīñ umr-e-rafta
merā bachpan na sahī merī javānī mujhe de
mujhe andesha hai is bhiiḌ meñ auroñ kī tarah
tū bhī kho jā.egā apnā koī saanī mujhe de
'rām' har ik ke mālik se guzārish hai to ye
saaf lahja mujhe de sāda-bayānī mujhe de
lafz be-jaan hain mere ruh-e-maani mujhe de
apni taKHliq se tu koi nishani mujhe de
tera bhi nam rahe main bhi amar ho jaun
aisa unwan koi aisi kahani mujhe de
chal rahi hai baDi shiddat se yahan sard hawa
mujh ko bujhne se bacha soz-e-nihani mujhe de
ye hasin peD ye KHushbu meri kamzori hai
din ka sab mal tera raat ki rani mujhe de
mera mushkil hai safar tere sahaare ke baghair
rukne lag jaun agar main to rawani mujhe de
is qadar dhandli achchhi nahin umr-e-rafta
mera bachpan na sahi meri jawani mujhe de
mujhe andesha hai is bhiD mein auron ki tarah
tu bhi kho jaega apna koi sani mujhe de
'ram' har ek ke malik se guzarish hai to ye
saf lahja mujhe de sada-bayani mujhe de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.