lafz gunge ho gae lahje ki ayyari ke baad
lafz gūñge ho ga.e lahje kī ayyārī ke ba.ad
vo barahna ho gayā itnī adākārī ke ba.ad
chand bosīda kitābeñ kirm-ḳhurda kuchh varaq
ye sila bhī kam nahīñ ik jurm-e-fankārī ke ba.ad
raat ke manzar khulī āñkhoñ meñ patthar ho ga.e
ḳhvāb meñ jaage hue lagte haiñ bedārī ke ba.ad
āñsuoñ ko qahqahoñ kā ruup de jaatā hai vo
is tarah hañstā to hai lekin kalā-kārī ke ba.ad
jin kitāboñ meñ rakhe the ḳhvāb guzrī fasl ke
ham ne ḳhud un ko jalā Daalā nigah-dārī ke ba.ad
ab kisī se kyā kaheñ badnām-e-vahshat kā sabab
ḳhud bhī sharminda haiñ ham dil kī subuksārī ke ba.ad
lafz gunge ho gae lahje ki ayyari ke baad
wo barahna ho gaya itni adakari ke baad
chand bosida kitaben kirm-KHurda kuchh waraq
ye sila bhi kam nahin ek jurm-e-fankari ke baad
raat ke manzar khuli aankhon mein patthar ho gae
KHwab mein jage hue lagte hain bedari ke baad
aansuon ko qahqahon ka rup de jata hai wo
is tarah hansta to hai lekin kala-kari ke baad
jin kitabon mein rakhe the KHwab guzri fasl ke
hum ne KHud un ko jala Dala nigah-dari ke baad
ab kisi se kya kahen badnam-e-wahshat ka sabab
KHud bhi sharminda hain hum dil ki subuksari ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.