lafz ki qaid se riha ho ja
lafz kī qaid se rihā ho jā
aa mirī aañkh se adā ho jā
pheñk de ḳhushk phuul yādoñ ke
zid na kar tū bhī be-vafā ho jā
ḳhushk peḌoñ ko kaTnā paḌtā hai
apne hī ashk pī harā ho jā
chheḌ is habs meñ mahaktī ġhazal
aur dar kholtī havā ho jā
sañg barsā rahe haiñ shahr ke log
tū bhī yuuñ haath uThā duā ho jā
ḳhud ko pahchān idhar udhar na bhaTak
apne markaz pe dā.era ho jā
aur phir ho gayā maiñ ā.īna-rū
us ne ik baar hī kahā ho jā
kahīñ andar se aaj bhī 'tauqīr'
ik sadā aatī hai mirā ho jā
lafz ki qaid se riha ho ja
aa meri aankh se ada ho ja
phenk de KHushk phul yaadon ke
zid na kar tu bhi be-wafa ho ja
KHushk peDon ko kaTna paDta hai
apne hi ashk pi hara ho ja
chheD is habs mein mahakti ghazal
aur dar kholti hawa ho ja
sang barsa rahe hain shahr ke log
tu bhi yun hath uTha dua ho ja
KHud ko pahchan idhar udhar na bhaTak
apne markaz pe daera ho ja
aur phir ho gaya main aaina-ru
us ne ek bar hi kaha ho ja
kahin andar se aaj bhi 'tauqir'
ek sada aati hai mera ho ja
- Book : Anaa-ul-Ishq (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.