lafz-o-mani ke jal bunta hun
lafz-o-ma.anī ke jaal buntā huuñ
kab se ḳhvāb-o-ḳhayāl buntā huuñ
bahr-e-tasḳhīr-e-kā.enāt-e-latīf
fan kā husn-o-jamāl buntā huuñ
hai qalam jo mirā rafīq-e-mudām
us kā jāh-o-jamāl buntā huuñ
tā rahe ābrū-e-kār-e-junūñ
ḳhūñ-shuda dil kā haal buntā huuñ
tāne-bāne hayāt ke har roz
bas-ki be-qīl-o-qāl buntā huuñ
jab se dekhā hai mausamoñ kā zavāl
manzar-e-barshgāl buntā huuñ
lazzat-e-dard tā javān rahe
ārzū-e-visāl buntā huuñ
kirm-e-resham na makḌiyoñ kī misāl
maiñ bayā kī misāl buntā huuñ
lafz-o-mani ke jal bunta hun
kab se KHwab-o-KHayal bunta hun
bahr-e-tasKHir-e-kaenat-e-latif
fan ka husn-o-jamal bunta hun
hai qalam jo mera rafiq-e-mudam
us ka jah-o-jamal bunta hun
ta rahe aabru-e-kar-e-junun
KHun-shuda dil ka haal bunta hun
tane-bane hayat ke har roz
bas-ki be-qil-o-qal bunta hun
jab se dekha hai mausamon ka zawal
manzar-e-barshgal bunta hun
lazzat-e-dard ta jawan rahe
aarzu-e-visal bunta hun
kirm-e-resham na makDiyon ki misal
main baya ki misal bunta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.