lafzon ka ye KHazana tere nam kab hua
lafzoñ kā ye ḳhazāna tire naam kab huā
ye sher kab kahe tujhe ilhām kab huā
ye baat Thiik hai ki mujhe daam kam mile
chupke se bik gayā huuñ maiñ nīlām kab huā
kaisī sharāb huuñ ki hai tishna mire hī lab
apne liye maiñ durd-e-tah-e-jām kab huā
ye hai mirā nasīb ki shohrat nahīñ milī
lekin koī batā.e ki bad-nām kab huā
aatā rahā huuñ yaad maiñ us ko tamām umr
is zāviye se ishq meñ nākām kab huā
vo hādse ki zehn hī maflūj ho ga.e
ye bhī nahīñ hai yaad ki kohrām kab huā
ab ho rahā hai zikr-e-musāvāt har taraf
logoñ ko ilm hai ye chalan aam kab huā
lafzon ka ye KHazana tere nam kab hua
ye sher kab kahe tujhe ilham kab hua
ye baat Thik hai ki mujhe dam kam mile
chupke se bik gaya hun main nilam kab hua
kaisi sharab hun ki hai tishna mere hi lab
apne liye main durd-e-tah-e-jam kab hua
ye hai mera nasib ki shohrat nahin mili
lekin koi batae ki bad-nam kab hua
aata raha hun yaad main us ko tamam umr
is zawiye se ishq mein nakaam kab hua
wo hadse ki zehn hi mafluj ho gae
ye bhi nahin hai yaad ki kohram kab hua
ab ho raha hai zikr-e-musawat har taraf
logon ko ilm hai ye chalan aam kab hua
- Book : Muhaz Par mein (Poetry) (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.