lafzon ke sitam lahjon ke aazar bahut hain
lafzoñ ke sitam lahjoñ ke āzār bahut haiñ
kahne ko to is shahr meñ ġham-ḳhvār bahut haiñ
kuchh apne hī duniyā meñ nahīñ itne ziyāda
kuchh un meñ se bhī shāmil-e-aġhyār bahut haiñ
har samt sapere haiñ jamā.e hue Dere
is shahr meñ sāñpoñ ke ḳharīdār bahut haiñ
har samt se tūfān kī aamad kī haiñ ḳhabreñ
ab maan lo ham log gunahgār bahut haiñ
ik ham hī nahīñ shahr-e-sitam-sāz meñ 'ātif'
be-jurm sazāoñ ke sazā-vār bahut haiñ
lafzon ke sitam lahjon ke aazar bahut hain
kahne ko to is shahr mein gham-KHwar bahut hain
kuchh apne hi duniya mein nahin itne ziyaada
kuchh un mein se bhi shamil-e-aghyar bahut hain
har samt sapere hain jamae hue Dere
is shahr mein sanpon ke KHaridar bahut hain
har samt se tufan ki aamad ki hain KHabren
ab man lo hum log gunahgar bahut hain
ek hum hi nahin shahr-e-sitam-saz mein 'atif'
be-jurm sazaon ke saza-war bahut hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 308)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.