lafzon ki wasile se bayan hone se pahle
lafzoñ ki vasīle se bayāñ hone se pahle
āsān thā ye kaam girāñ hone se pahle
taḳhlīq ne chhīnā hai mirā husn bhī mujh se
ik raaz thā maiñ mere ayaañ hone se pahle
kis tarah kī bīnā.ī thī in āñkhoñ meñ jaane
kuchh bhī na dikhā jin ko dhuāñ hone se pahle
sochā to bahut par koī ma.anī nahīñ nikle
kyā merī nahīñ thī mirī haañ hone se pahle
ye ishq to ab aa ke mirī jaan huā hai
nāsūr-e-jigar thā rag-e-jāñ hone se pahle
ham jaise namāzī tumheñ DhūñDe na mileñge
paḌhte hoñ namāzeñ jo azaañ hone se pahle
haiñ saare fasādāt zabānoñ kā natīja
ḳhāmosh thā insān zabāñ hone se pahle
maiñ sochtā rahtā huuñ ba-har-hāl ki kyā thā
āñkhoñ meñ tirī merā jahāñ hone se pahle
lafzon ki wasile se bayan hone se pahle
aasan tha ye kaam giran hone se pahle
taKHliq ne chhina hai mera husn bhi mujh se
ek raaz tha main mere ayan hone se pahle
kis tarah ki binai thi in aankhon mein jaane
kuchh bhi na dikha jin ko dhuan hone se pahle
socha to bahut par koi mani nahin nikle
kya meri nahin thi meri han hone se pahle
ye ishq to ab aa ke meri jaan hua hai
nasur-e-jigar tha rag-e-jaan hone se pahle
hum jaise namazi tumhein DhunDe na milenge
paDhte hon namazen jo azan hone se pahle
hain sare fasadat zabanon ka natija
KHamosh tha insan zaban hone se pahle
main sochta rahta hun ba-har-haal ki kya tha
aankhon mein teri mera jahan hone se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.