lafzon mein aag bharne ka fan le liya gaya
lafzoñ meñ aag bharne kā fan le liyā gayā
ham se hamārā tarz-e-suḳhan le liyā gayā
bachche hue javān to māñ-bāp chal base
ya.anī bahār de ke chaman le liyā gayā
gaaḌī ke nīche aa ga.ī muflis kī zindagī
faurī muāvze meñ kafan le liyā gayā
pahle to ham ko dī ga.ī māñge baġhair ruuh
phir kuchh kahe baġhair badan le liyā gayā
ik dastaḳhat se ho ga.iiñ taqsīm sarhadeñ
ik dastaḳhat se uzv-e-vatan le liyā gayā
lafzon mein aag bharne ka fan le liya gaya
hum se hamara tarz-e-suKHan le liya gaya
bachche hue jawan to man-bap chal base
yani bahaar de ke chaman le liya gaya
gaDi ke niche aa gai muflis ki zindagi
fauri muawze mein kafan le liya gaya
pahle to hum ko di gai mange baghair ruh
phir kuchh kahe baghair badan le liya gaya
ek dastaKHat se ho gain taqsim sarhaden
ek dastaKHat se uzw-e-watan le liya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.