lafzon mein aasani rakh
lafzoñ meñ āsānī rakh
she'r magar ‘irfānī rakh
itnā dhoka chaltā hai
āñkhoñ meñ nādānī rakh
pahle-pahal sab achchhā thā
kuchh kuchh yaad purānī rakh
dhyān haTā ab hoñToñ se
qadmoñ par peshānī rakh
kuchh bhī nahīñ hai manzar meñ
āñkhoñ meñ hairānī rakh
bhuuk aur pyaas na miTne paa.e
itnā daana paanī rakh
sā se kaam chalā lūñgā
re gā mā pā dhā nī rakh
halke halke qadam baḌhā
sar par be-sāmānī rakh
har shai meñ maujūd hai jo
us kī ek nishānī rakh
'amit' bulā.e vo har baar
itnī ānā-kānī rakh
lafzon mein aasani rakh
she'r magar ‘irfani rakh
itna dhoka chalta hai
aankhon mein nadani rakh
pahle-pahal sab achchha tha
kuchh kuchh yaad purani rakh
dhyan haTa ab honTon se
qadmon par peshani rakh
kuchh bhi nahin hai manzar mein
aankhon mein hairani rakh
bhuk aur pyas na miTne pae
itna dana pani rakh
sa se kaam chala lunga
re ga ma pa dha ni rakh
halke halke qadam baDha
sar par be-samani rakh
har shai mein maujud hai jo
us ki ek nishani rakh
'amit' bulae wo har bar
itni aana-kani rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.