lafzon mein asar kahan se aaya
lafzoñ meñ asar kahāñ se aayā
raste meñ ye ghar kahāñ se aayā
maiñ hijr meñ muskurā rahā huuñ
mujh meñ ye hunar kahāñ se aayā
ik aag sī ab lagī huī hai
paanī meñ asar kahāñ se aayā
nezoñ pe saroñ ko dekhtā huuñ
dīvār meñ dar kahāñ se aayā
lau dene lage haiñ ḳhāk-dāñ bhī
miTTī meñ asar kahāñ se aayā
ab maiñ kyā batā.ūñ mujh meñ ai 'tūr'
jiine kā hunar kahāñ se aayā
lafzon mein asar kahan se aaya
raste mein ye ghar kahan se aaya
main hijr mein muskura raha hun
mujh mein ye hunar kahan se aaya
ek aag si ab lagi hui hai
pani mein asar kahan se aaya
nezon pe saron ko dekhta hun
diwar mein dar kahan se aaya
lau dene lage hain KHak-dan bhi
miTTi mein asar kahan se aaya
ab main kya bataun mujh mein ai 'tur'
jine ka hunar kahan se aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.