lafzon mein ek nae safar ka karta hai aaghaz badan
Interesting Fact
1971
lafzoñ meñ ik na.e safar kā kartā hai āġhāz badan
nuqta nuqta phail ke mujh ko detā hai āvāz badan
har-pal TuuT bikharnā ḳhadsha Thes lage to kaañp uThtā hai
shīsha shīsha ruup liye hai patthar kā dam-sāz badan
uḌtā bādal Dhaltī chhāyā ik ik pal meñ sau sau kaayā
uḌte roz-o-shab se aage kartā hai parvāz badan
anjānī an-dekhī sadā.eñ aksar dastak de jaatī haiñ
mujh ko barahna kar detā hai aksar ye ġhammāz badan
kitne hātim bhaTke barsoñ lauh-e-tilism-e-rāz liye
phir bhī ik asrār kā sahrā phir bhī hai ik raaz badan
ik ik taar nafas se ab tak lipTī hai us lams kī ḳhushbū
ik din shāyad Takrāyā thā mujh se koī shahnāz badan
lafzon mein ek nae safar ka karta hai aaghaz badan
nuqta nuqta phail ke mujh ko deta hai aawaz badan
har-pal TuT bikharna KHadsha Thes lage to kanp uThta hai
shisha shisha rup liye hai patthar ka dam-saz badan
uDta baadal Dhalti chhaya ek ek pal mein sau sau kaya
uDte roz-o-shab se aage karta hai parwaz badan
anjaani an-dekhi sadaen aksar dastak de jati hain
mujh ko barahna kar deta hai aksar ye ghammaz badan
kitne hatim bhaTke barson lauh-e-tilism-e-raaz liye
phir bhi ek asrar ka sahra phir bhi hai ek raaz badan
ek ek tar nafas se ab tak lipTi hai us lams ki KHushbu
ek din shayad Takraya tha mujh se koi shahnaz badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.