lafzon mein kaisa rang-e-ma’ani dikhai de
lafzoñ meñ kaisā rang-e-ma’ānī dikhā.ī de
mere qalam meñ aaj ravānī dikhā.ī de
jaise ho sat.h-e-ḳhvāb pe ik be-sutūñ makāñ
'ālam tamām dosto faanī dikhā.ī de
ye daaġh daaġh apnā dil-e-ġham-nasīb bhī
yaaro nigār-ḳhāna-e-mā’nī dikhā.ī de
tum zindagī ke talḳh haqā.eq se be-ḳhabar
tum ko hayāt kyoñ na suhānī dikhā.ī de
vo munjamid hai barf kī mānind ai 'shamīm'
bātoñ meñ jis kī sho’la-bayānī dikhā.ī de
lafzon mein kaisa rang-e-ma’ani dikhai de
mere qalam mein aaj rawani dikhai de
jaise ho sath-e-KHwab pe ek be-sutun makan
'alam tamam dosto fani dikhai de
ye dagh dagh apna dil-e-gham-nasib bhi
yaro nigar-KHana-e-ma’ni dikhai de
tum zindagi ke talKH haqaeq se be-KHabar
tum ko hayat kyon na suhani dikhai de
wo munjamid hai barf ki manind ai 'shamim'
baaton mein jis ki sho’la-bayani dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.