lag gae barson jawabaat batane ke liye
lag ga.e barsoñ javābāt batāne ke liye
in ḳhurāfāt ko ghar ghar se haTāne ke liye
kis qadar zahr piyā zabt kiyā hai maiñ ne
jo lagī aag hai siine meñ chhupāne ke liye
aise bhī log bahut saare mileñge tum ko
har ġhalat kaam kiyā naam kamāne ke liye
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar jaan talak nazr kiye
kyā nahīñ de ke ga.e log zamāne ke liye
daao par log lagā dete haiñ har shai apnī
apne dushman ko faqat nīchā dikhāne ke liye
kaun jaatā hai kisī tapte hue sahrā meñ
apnī tanhā.ī kā ik jashn manāne ke liye
koshisheñ jaarī haiñ is daur kī har din ai 'latīf'
jitne jañgal haiñ unheñ shahr banāne ke liye
lag gae barson jawabaat batane ke liye
in KHurafat ko ghar ghar se haTane ke liye
kis qadar zahr piya zabt kiya hai main ne
jo lagi aag hai sine mein chhupane ke liye
aise bhi log bahut sare milenge tum ko
har ghalat kaam kiya nam kamane ke liye
KHun-e-dil KHun-e-jigar jaan talak nazr kiye
kya nahin de ke gae log zamane ke liye
dao par log laga dete hain har shai apni
apne dushman ko faqat nicha dikhane ke liye
kaun jata hai kisi tapte hue sahra mein
apni tanhai ka ek jashn manane ke liye
koshishen jari hain is daur ki har din ai 'latif'
jitne jangal hain unhen shahr banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.