laga di aag kisi ne dil-o-jigar mein mere
lagā dī aag kisī ne dil-o-jigar meñ mire
jalā ke ḳhaak kiyā mujh ko aa ke ghar meñ mire
ye qatra qatra lahū ban ke bah rahā hai dil
hai ḳhūn-e-hasrat-e-nākām ashk-e-tar meñ mire
har ek gaam pe manzil har ik qadam pe safar
ilāhī kitnī manāzil haiñ ik safar meñ mire
farāz-e-haft-falak mere aage kuchh bhī nahīñ
abhī hai quvvat-e-parvāz bāl-o-par meñ mire
baḌī tavīl hai rūdād-e-ranj-o-ġham merī
ka.ī fasāne haiñ har lafz-e-muḳhtasar meñ mire
laga di aag kisi ne dil-o-jigar mein mere
jala ke KHak kiya mujh ko aa ke ghar mein mere
ye qatra qatra lahu ban ke bah raha hai dil
hai KHun-e-hasrat-e-nakaam ashk-e-tar mein mere
har ek gam pe manzil har ek qadam pe safar
ilahi kitni manazil hain ek safar mein mere
faraaz-e-haft-falak mere aage kuchh bhi nahin
abhi hai quwwat-e-parwaz baal-o-par mein mere
baDi tawil hai rudad-e-ranj-o-gham meri
kai fasane hain har lafz-e-muKHtasar mein mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.