laga hai jo dil par mere tir dekhen
lagā hai jo dil par mire tiir dekheñ
milī kyā mohabbat meñ jāgīr dekheñ
hai chehre pe mere har ik harf kanda
mire āñsuoñ kī bhī tahrīr dekheñ
hue rā.egāñ apne ā'māl saare
na laa.ī asar koī tadbīr dekheñ
isī kashmakash meñ shab-o-roz guzre
koī ḳhvāb dekheñ ki tā'bīr dekheñ
sunā hai vahāñ amn ke gul khile haiñ
chalo chal ke vādī-e-kashmīr dekheñ
mirī maañ kā kahnā huā sach ai 'saifī'
du'āoñ se badlī hai taqdīr dekheñ
laga hai jo dil par mere tir dekhen
mili kya mohabbat mein jagir dekhen
hai chehre pe mere har ek harf kanda
mere aansuon ki bhi tahrir dekhen
hue raegan apne aa'mal sare
na lai asar koi tadbir dekhen
isi kashmakash mein shab-o-roz guzre
koi KHwab dekhen ki ta'bir dekhen
suna hai wahan amn ke gul khile hain
chalo chal ke wadi-e-kashmir dekhen
meri man ka kahna hua sach ai 'saifi'
du'aon se badli hai taqdir dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.