laga hai rog koi to jaDon mein
lagā hai rog koī to jaḌoñ meñ
udāsī kyoñ hai varna Tahniyoñ meñ
bhale hī barf kī chādar uḌhā do
jalan phir bhī rahegī ābloñ meñ
havas kī uñgliyoñ par aa ga.e haiñ
the jitne rang titlī ke paroñ meñ
bahut nuqsān kar detā hai paanī
Thahar jaa.e agar kachche gharoñ meñ
tasallī mil ga.ī pyāsī zamīñ ko
huā Takrāv jab bhī bādaloñ meñ
tire naqsh-e-qadam ko chhoḌ kar ham
ulajh kar rah ga.e haiñ rāstoñ meñ
laga hai rog koi to jaDon mein
udasi kyon hai warna Tahniyon mein
bhale hi barf ki chadar uDha do
jalan phir bhi rahegi aablon mein
hawas ki ungliyon par aa gae hain
the jitne rang titli ke paron mein
bahut nuqsan kar deta hai pani
Thahar jae agar kachche gharon mein
tasalli mil gai pyasi zamin ko
hua Takraw jab bhi baadalon mein
tere naqsh-e-qadam ko chhoD kar hum
ulajh kar rah gae hain raston mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.