laga hua hai har ek insan use lubhane ki koshishon mein
lagā huā hai har ek insāñ use lubhāne kī koshishoñ meñ
laḌā.ī aapas meñ kar rahā hai bas us ko paane kī koshishoñ meñ
udaas āñkhoñ meñ dikh rahā hai ki baat kuchh to satā rahī hai
magar musalsal lagā huā hai vo muskurāne kī koshishoñ meñ
bas ik dilāse se raat bhar meñ hī bhar gayā ḳhāk-dān puurā
ye āḳhirī kash maiñ pī rahā huuñ tumheñ bhulāne kī koshishoñ meñ
ye kaisā rasta hai tere aur mere darmiyāñ meñ ḳhudā hī jaane
maiñ tujh se aur duur jā rahā huuñ qarīb aane kī koshishoñ meñ
tū shauq se mujh se ruuTh lekin agar manā.ūñ to maan jaanā
kahīñ maiñ ḳhud bhī na ruuTh jā.ūñ tujhe manāne kī koshishoñ meñ
laga hua hai har ek insan use lubhane ki koshishon mein
laDai aapas mein kar raha hai bas us ko pane ki koshishon mein
udas aankhon mein dikh raha hai ki baat kuchh to sata rahi hai
magar musalsal laga hua hai wo muskurane ki koshishon mein
bas ek dilase se raat bhar mein hi bhar gaya KHak-dan pura
ye aaKHiri kash main pi raha hun tumhein bhulane ki koshishon mein
ye kaisa rasta hai tere aur mere darmiyan mein KHuda hi jaane
main tujh se aur dur ja raha hun qarib aane ki koshishon mein
tu shauq se mujh se ruTh lekin agar manaun to man jaana
kahin main KHud bhi na ruTh jaun tujhe manane ki koshishon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.