lagā kar ishq kā kajrā nayan ko
dikhā.ūñ yaañ setī hubbulvatan ko
bazāñ le jā.ūñ har lahze meñ ik baar
ki jab lag ruuh suuñ rishta hai tan ko
rahe aalam meñ us kā sair aur tair
na dekhe us ke kui mastāne-pan ko
chaman suuñ dil ke aalam ko ḳhabar nahiñ
hamesha dekhte ḳhākī badan ko
kar aa.uuñ sair dil ke bostāñ kā
na jaave vo kabhī hargiz chaman ko
dikhā.ūñ yaar ke zulfāñ suuñ yak taar
na chāhe phir kabhī mushk-e-ḳhutan ko
na thā aadam athā vo zāt-e-mutlaq
sunā.ūñ ye sadā ab tujh kiran ko
sadaf meñ nain ke dikhlā.ūñ gauhar
na rākhe aarzū durr-e-adan ko
nahīñ gauhar vo haiñ jyuuñ chāñd aur suur
'alīmullāh' jahāñ ke anjuman ko
laga kar ishq ka kajra nayan ko
dikhaun yan seti hubbulwatan ko
bazan le jaun har lahze mein ek bar
ki jab lag ruh sun rishta hai tan ko
rahe aalam mein us ka sair aur tair
na dekhe us ke kui mastane-pan ko
chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin
hamesha dekhte KHaki badan ko
kar aaun sair dil ke bostan ka
na jawe wo kabhi hargiz chaman ko
dikhaun yar ke zulfan sun yak tar
na chahe phir kabhi mushk-e-KHutan ko
na tha aadam atha wo zat-e-mutlaq
sunaun ye sada ab tujh kiran ko
sadaf mein nain ke dikhlaun gauhar
na rakhe aarzu durr-e-adan ko
nahin gauhar wo hain jyun chand aur sur
'alimullah' jahan ke anjuman ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.