laga ke aai thi sautan KHizab id ke din
lagā ke aa.ī thī sautan ḳhizāb 'iid ke din
muī pe TuuT paḌā thā shabāb 'iid ke din
udhar vo husn meñ thā intiḳhāb 'iid ke din
idhar na thā koī merā javāb 'iid ke din
vo chāñd raat ko mujh se bigaḌ ke chalte bane
bikhar ke rah ga.e rangīn ḳhvāb 'iid ke din
maiñ kyā batā.ūñ ki kyā hashr kar rahā thā bapā
nigoḌī saut kā uThtā shabāb 'iid ke din
vo ab bhī mere dupaTTe kī tah meñ rakkhā hai
jo us ne pesh kiyā thā gulāb 'iid ke din
laga ke aai thi sautan KHizab 'id ke din
mui pe TuT paDa tha shabab 'id ke din
udhar wo husn mein tha intiKHab 'id ke din
idhar na tha koi mera jawab 'id ke din
wo chand raat ko mujh se bigaD ke chalte bane
bikhar ke rah gae rangin KHwab 'id ke din
main kya bataun ki kya hashr kar raha tha bapa
nigoDi saut ka uThta shabab 'id ke din
wo ab bhi mere dupaTTe ki tah mein rakkha hai
jo us ne pesh kiya tha gulab 'id ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.