laga ke naqb kisi rose mar sakte hain
lagā ke naqb kisī roz maar sakte haiñ
purāne dost nayā ruup dhaar sakte haiñ
ham apne lafzoñ meñ sūrat-garī ke māhir haiñ
kisī bhī zehn meñ manzar utaar sakte haiñ
ba-zid na ho ki tirī pairvī zarūrī hai
ham apne aap ko behtar sudhār sakte haiñ
vo ek lamha ki jis meñ mile the ham donoñ
us ek lamhe meñ sadiyāñ guzār sakte haiñ
hamārī aañkh meñ jaadū bharā samundar hai
ham us kā aks nazar se nithār sakte haiñ
laga ke naqb kisi roz mar sakte hain
purane dost naya rup dhaar sakte hain
hum apne lafzon mein surat-gari ke mahir hain
kisi bhi zehn mein manzar utar sakte hain
ba-zid na ho ki teri pairwi zaruri hai
hum apne aap ko behtar sudhaar sakte hain
wo ek lamha ki jis mein mile the hum donon
us ek lamhe mein sadiyan guzar sakte hain
hamari aankh mein jadu bhara samundar hai
hum us ka aks nazar se nithaar sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.