lage jab pyas to rista lahu pine nahin deta
lage jab pyaas to ristā lahū piine nahīñ detā
udhaḌtī khaal bhī merī mujhe siine nahīñ detā
tamannā maut kī rad ho ga.ī hai vaqt ke Dar se
agar maiñ zindagī māñgūñ mujhe jiine nahīñ detā
ḳhud apnī shakl dekhe ek muddat ho ga.ī mujh ko
uThā letā hai patthar TuuTe ā.īne nahīñ detā
diloñ ko khīñchne vaalā tarannum kho chukā un kā
magar vo mere be-āvāz sāzīne nahīñ detā
zamāna un pe 'yāsir' naag kī mānind baiThā hai
mujhe mere javāhir mere ganjīne nahīñ detā
lage jab pyas to rista lahu pine nahin deta
udhaDti khaal bhi meri mujhe sine nahin deta
tamanna maut ki rad ho gai hai waqt ke Dar se
agar main zindagi mangun mujhe jine nahin deta
KHud apni shakl dekhe ek muddat ho gai mujh ko
uTha leta hai patthar TuTe aaine nahin deta
dilon ko khinchne wala tarannum kho chuka un ka
magar wo mere be-awaz sazine nahin deta
zamana un pe 'yasir' nag ki manind baiTha hai
mujhe mere jawahir mere ganjine nahin deta
- Book : Pakistani Adab (Pg. 449)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.