lage jab subah ki kashti kinare shab
lage jab subah kī kashtī kināre shab
kiyā kartī hai jaane kyā ishāre shab
nahīñ shikva magar itnā batā do tum
koī tum bin bhalā kaise guzāre shab
chhuḌā kar haath duniyā se mirī ḳhātir
chale aao jahāñ ho tum pukāre shab
zarā socho ye kis ke vāste apne
liye phirtī hai dāman meñ sitāre shab
uThā ke ranj-o-ġham saare zamāne ke
mire dil pe na jaane kyuuñ utāre shab
lage jab subah ki kashti kinare shab
kiya karti hai jaane kya ishaare shab
nahin shikwa magar itna bata do tum
koi tum bin bhala kaise guzare shab
chhuDa kar hath duniya se meri KHatir
chale aao jahan ho tum pukare shab
zara socho ye kis ke waste apne
liye phirti hai daman mein sitare shab
uTha ke ranj-o-gham sare zamane ke
mere dil pe na jaane kyun utare shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.