lagi hai gasht karne ye KHabar aahista aahista
lagī hai gasht karne ye ḳhabar āhista āhista
kamar kasne lagā hai fitna-gar āhista āhista
kutar Daalo use jitnā bhī tum sone kī qaiñchī se
parinde kā nikal aatā hai par āhista āhista
Dubo kar manchalī kashtī ko maujoñ ne kahā hañs kar
kiyā jaatā hai paanī meñ safar āhista āhista
tilismī bāñsurī nādān bachchoñ ko na denā tum
ujaḌ jā.egā māsūmoñ kā ghar āhista āhista
safar kī lazzateñ kyā haiñ safar ke pech-o-ḳham kyā haiñ
samajh jā.egā apnā ham-safar āhista āhista
kalām-e-narm-o-nāzuk ko banānā apnā sheva tum
utar jā.egā siine meñ 'asar' āhista āhista
lagi hai gasht karne ye KHabar aahista aahista
kamar kasne laga hai fitna-gar aahista aahista
kutar Dalo use jitna bhi tum sone ki qainchi se
parinde ka nikal aata hai par aahista aahista
Dubo kar manchali kashti ko maujon ne kaha hans kar
kiya jata hai pani mein safar aahista aahista
tilismi bansuri nadan bachchon ko na dena tum
ujaD jaega masumon ka ghar aahista aahista
safar ki lazzaten kya hain safar ke pech-o-KHam kya hain
samajh jaega apna ham-safar aahista aahista
kalam-e-narm-o-nazuk ko banana apna shewa tum
utar jaega sine mein 'asar' aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.