lagi thi umr parindon ko ghar banate hue
lagī thī 'umr parindoñ ko ghar banāte hue
kisī ne kyuuñ nahīñ sochā shajar girāte hue
ye zindagī thī jo dhutkārtī rahī mujh ko
maiñ baat kartā rahā us se muskurāte hue
badan thā chuur mirā hijr kī mashaqqat se
so niiñd aa.ī mujhe dard ko sulāte hue
koī to us pe qayāmat guzar ga.ī hogī
ki āp-bītī vo rone lagā sunāte hue
'ajīb niiñd meñ thā ḳhvāb-gāh-e-hastī kī
maiñ is jahāñ se tire us jahāñ meñ jaate hue
kahānī-go ke har ik lafz meñ thī jādūgarī
rulā diyā thā har ik shaḳhs ko hañsāte hue
na merī chashm-e-tamannā meñ jach sakī duniyā
palaT ke dekhtā kaise use maiñ jaate hue
maiñ jal uThā thā tire hī ḳhayāl kī lau se
tujhe ḳhayāl na aayā mujhe bujhāte hue
lagi thi 'umr parindon ko ghar banate hue
kisi ne kyun nahin socha shajar giraate hue
ye zindagi thi jo dhutkarti rahi mujh ko
main baat karta raha us se muskuraate hue
badan tha chur mera hijr ki mashaqqat se
so nind aai mujhe dard ko sulate hue
koi to us pe qayamat guzar gai hogi
ki aap-biti wo rone laga sunate hue
'ajib nind mein tha KHwab-gah-e-hasti ki
main is jahan se tere us jahan mein jate hue
kahani-go ke har ek lafz mein thi jadugari
rula diya tha har ek shaKHs ko hansate hue
na meri chashm-e-tamanna mein jach saki duniya
palaT ke dekhta kaise use main jate hue
main jal uTha tha tere hi KHayal ki lau se
tujhe KHayal na aaya mujhe bujhate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.