lagta hai bahr-e-shab baDa pur-ab dekhna
lagtā hai bahr-e-shab baḌā pur-āb dekhnā
tum ko Dubo na de kahīñ ye ḳhvāb dekhnā
sarsabz kar lo khetiyāñ ehsās kī zarā
hai pur-faroġh fikr kā mahtāb dekhnā
ġham kā labāda oḌh ke aao na tum idhar
har barg-e-gul chaman kā hai shādāb dekhnā
yādoñ ke sabz paude ugāne do mujh ko tum
kisht-e-umīd ke haiñ ye asbāb dekhnā
rakhnā qadam chaman meñ ḳhizāñ dekh-bhāl kar
dariyā-e-rang-o-bū meñ hai girdāb dekhnā
poshīda lafz lafz meñ hai dāstān-e-karb
'qudsī' kitāb-e-zīst kā har baab dekhnā
lagta hai bahr-e-shab baDa pur-ab dekhna
tum ko Dubo na de kahin ye KHwab dekhna
sarsabz kar lo khetiyan ehsas ki zara
hai pur-farogh fikr ka mahtab dekhna
gham ka labaada oDh ke aao na tum idhar
har barg-e-gul chaman ka hai shadab dekhna
yaadon ke sabz paude ugane do mujh ko tum
kisht-e-umid ke hain ye asbab dekhna
rakhna qadam chaman mein KHizan dekh-bhaal kar
dariya-e-rang-o-bu mein hai girdab dekhna
poshida lafz lafz mein hai dastan-e-karb
'qudsi' kitab-e-zist ka har bab dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.