lagta hai duniya ko lagta Thik nahin
lagtā hai duniyā ko lagtā Thiik nahīñ
saath tumhārā aur hamārā Thiik nahīñ
ashk chhupā kar aañkh meñ hañsnā Thiik nahīñ
ya.anī dil hī dil meñ ronā Thiik nahīñ
kaun hai jhūTā kaun hai sachchā Thiik nahīñ
be-jāne ye ham ko kahnā Thiik nahīñ
jo jaisā hai duniyā us ke liye vaisī
kyuuñ kahte ho yaar ye duniyā Thiik nahīñ
dil kī baat ko dil meñ rakhnā achchhā hai
dil kī baat zabāñ par laanā Thiik nahīñ
maiñ ne maanā maiñ barbād-e-mohabbat huuñ
lekin barbādī kā charchā Thiik nahīñ
merī nazar meñ us se baḌā hamdard nahīñ
jis ne kahā thā dil kā lagānā Thiik nahīñ
jis se kisī kī dil-āzārī ho 'āsim'
bhuul ke aisī bāteñ karnā Thiik nahīñ
lagta hai duniya ko lagta Thik nahin
sath tumhaara aur hamara Thik nahin
ashk chhupa kar aankh mein hansna Thik nahin
yani dil hi dil mein rona Thik nahin
kaun hai jhuTa kaun hai sachcha Thik nahin
be-jaane ye hum ko kahna Thik nahin
jo jaisa hai duniya us ke liye waisi
kyun kahte ho yar ye duniya Thik nahin
dil ki baat ko dil mein rakhna achchha hai
dil ki baat zaban par lana Thik nahin
main ne mana main barbaad-e-mohabbat hun
lekin barbaadi ka charcha Thik nahin
meri nazar mein us se baDa hamdard nahin
jis ne kaha tha dil ka lagana Thik nahin
jis se kisi ki dil-azari ho 'asim'
bhul ke aisi baaten karna Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.