lagta hai pech-o-tab ke aage kuchh aur hai
lagtā hai pech-o-tāb ke aage kuchh aur hai
is shor-e-inqalāb ke aage kuchh aur hai
be-shak mire savāl ke pīchhe hai aur baat
kyā tere is javāb ke aage kuchh aur hai
har chand merī āñkhoñ ne dekhā nahīñ hunūz
lekin tilism-e-ḳhvāb ke aage kuchh aur hai
jo tujh se ḳhush-jamāl hai aur dil-fareb bhī
duniyā tire shabāb ke aage kuchh aur hai
uḌtā huā uqaab to āñkhoñ meñ qaid hai
ab dekhiye uqaab ke aage kuchh aur hai
haañ jis se us zamīñ kā tavāzun hai barqarār
din raat ke azaab ke aage kuchh aur hai
parda paḌā huā hai mirī aañkh par talab
yā barq-o-āftāb ke aage kuchh aur hai
lagta hai pech-o-tab ke aage kuchh aur hai
is shor-e-inqalab ke aage kuchh aur hai
be-shak mere sawal ke pichhe hai aur baat
kya tere is jawab ke aage kuchh aur hai
har chand meri aankhon ne dekha nahin hunuz
lekin tilism-e-KHwab ke aage kuchh aur hai
jo tujh se KHush-jamal hai aur dil-fareb bhi
duniya tere shabab ke aage kuchh aur hai
uDta hua uqab to aankhon mein qaid hai
ab dekhiye uqab ke aage kuchh aur hai
han jis se us zamin ka tawazun hai barqarar
din raat ke azab ke aage kuchh aur hai
parda paDa hua hai meri aankh par talab
ya barq-o-aftab ke aage kuchh aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.