lahja wahi guftugu wahi hai
lahja vahī guftugū vahī hai
sūrat kitnī badal ga.ī hai
ghar kī sūrat bujhī bujhī hai
lekin khiḌkī khulī huī hai
tanhā.ī kā safar na pūchho
sannāTe kī sadā sunī hai
ḳhālī ḳhālī shajar se jangal
ab ke bārish kahāñ ga.ī hai
'zāhir' manzar badal na jaa.e
dekho kaisī havā chalī hai
lahja wahi guftugu wahi hai
surat kitni badal gai hai
ghar ki surat bujhi bujhi hai
lekin khiDki khuli hui hai
tanhai ka safar na puchho
sannaTe ki sada suni hai
KHali KHali shajar se jangal
ab ke barish kahan gai hai
'zahir' manzar badal na jae
dekho kaisi hawa chali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.