lahr lahr kya jagmag jagmag hoti hai
lahr lahr kyā jagmag jagmag hotī hai
jhiil bhī koī rañg badaltā motī hai
kaavā kaaT ke uupar uThtī haiñ qāzeñ
gun gun gun gun paroñ kī gunjan hotī hai
chaḌhtā huā parvāz kā nashsha hai aur maiñ
tez havā rah rah kar Dañk chubhotī hai
gahre sannāTe meñ shor havāoñ kā
tārīkī sūraj kī laash pe rotī hai
dekho is be-his nāgin ko chhūnā mat
kyā mālūm ye jāgtī hai yā sotī hai
merī ḳhasta-mizājī dekhte sab haiñ magar
kitne ġhamoñ kā bojh uThā.e hotī hai
kis kā jism chamaktā hai paanī meñ 'zeb'
kis kā ḳhazāna raat nadī meñ Dubotī hai
lahr lahr kya jagmag jagmag hoti hai
jhil bhi koi rang badalta moti hai
kawa kaT ke upar uThti hain qazen
gun gun gun gun paron ki gunjan hoti hai
chaDhta hua parwaz ka nashsha hai aur main
tez hawa rah rah kar Dank chubhoti hai
gahre sannaTe mein shor hawaon ka
tariki suraj ki lash pe roti hai
dekho is be-his nagin ko chhuna mat
kya malum ye jagti hai ya soti hai
meri KHasta-mizaji dekhte sab hain magar
kitne ghamon ka bojh uThae hoti hai
kis ka jism chamakta hai pani mein 'zeb'
kis ka KHazana raat nadi mein Duboti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.