lahra rahi hain khet mein gandum ki baaliyan
lahrā rahī haiñ khet meñ gandum kī bāliyāñ
aur pahre par bijoke haiñ le kar do-nāliyāñ
rū-e-suḳhan hai us kā ḳharīdār kī taraf
qassāb de rahā hai jo billī ko gāliyāñ
ḳhanjar utaar degā jamūre ke peT meñ
būḌhe javān bachche bajā.eñge tāliyāñ
juute nikāltī haiñ adab se tavā.ifeñ
lekin phaTe jurāboñ pe hañstī haiñ sāliyāñ
buuTā sā tan thā pahlū meñ aur kunDalī maar ke
siine pe saañp jaisī thiiñ bāhoñ kī Dāliyāñ
utrī tamām raat mire tan kī aartī
mehñdī lage vo haath the phūloñ kī Dāliyāñ
vallāh aqīdat aaj bhī hai merā scene se
ham ko bahut pasand haiñ bañgāl vāliyāñ
louñDoñ kī ThoḌiyoñ pe jo sabza ugā 'shafaq'
kis kaam kī rahī haiñ ye chehroñ kī lāliyāñ
lahra rahi hain khet mein gandum ki baaliyan
aur pahre par bijoke hain le kar do-naliyan
ru-e-suKHan hai us ka KHaridar ki taraf
qassab de raha hai jo billi ko galiyan
KHanjar utar dega jamure ke peT mein
buDhe jawan bachche bajaenge taliyan
jute nikalti hain adab se tawaifen
lekin phaTe jurabon pe hansti hain saliyan
buTa sa tan tha pahlu mein aur kunDali mar ke
sine pe sanp jaisi thin bahon ki Daliyan
utri tamam raat mere tan ki aarti
mehndi lage wo hath the phulon ki Daliyan
wallah aqidat aaj bhi hai mera scene se
hum ko bahut pasand hain bangal waliyan
lounDon ki ThoDiyon pe jo sabza uga 'shafaq'
kis kaam ki rahi hain ye chehron ki laliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.