lahu gire to karen wah kanch ke TukDe
lahū gire to kareñ vaah kāñch ke TukḌe
hamāre paañv ke hamrāh kāñch ke TukḌe
chaleñ jo ek pe to dūsrā jhukā le sar
hamāre dard se āgāh kāñch ke TukḌe
nikal rahe haiñ sabhī bach ke par uThāte nahīñ
paḌe hue haiñ sar-e-rāh kāñch ke TukḌe
nahīñ nahīñ use un kā sitam nahīñ kahiye
hamāre zaḳhm kī haiñ chaah kāñch ke TukḌe
samajh gayā vo sabab mere laḌkhaḌāne kā
ki mere hoñToñ pe thā aah kāñch ke TukḌe
kabhī jigar meñ kabhī aañkh meñ kabhī dil meñ
'ziyā' ne rakkhe har ik gaah kāñch ke TukḌe
lahu gire to karen wah kanch ke TukDe
hamare panw ke hamrah kanch ke TukDe
chalen jo ek pe to dusra jhuka le sar
hamare dard se aagah kanch ke TukDe
nikal rahe hain sabhi bach ke par uThate nahin
paDe hue hain sar-e-rah kanch ke TukDe
nahin nahin use un ka sitam nahin kahiye
hamare zaKHm ki hain chah kanch ke TukDe
samajh gaya wo sabab mere laDkhaDane ka
ki mere honTon pe tha aah kanch ke TukDe
kabhi jigar mein kabhi aankh mein kabhi dil mein
'ziya' ne rakkhe har ek gah kanch ke TukDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.