lahu lahu har manzar dekh
lahū lahū har manzar dekh
gulshan gulshan banjar dekh
ghar na banānā shīshe kā
haath meñ sab ke patthar dekh
kaun bhalā hai kaun burā
jhāñk ke dil ke andar dekh
jo kartā thā pyaar kī baat
haath meñ us ke ḳhanjar dekh
laakh hoñ ḳhatre rāhoñ meñ
ruk mat jaanā Dar kar dekh
āñkheñ un se chaar huiiñ
kyā guzrī hai dil par dekh
manzil tak jo saath na de
DhūñD na aisā rahbar dekh
lahu lahu har manzar dekh
gulshan gulshan banjar dekh
ghar na banana shishe ka
hath mein sab ke patthar dekh
kaun bhala hai kaun bura
jhank ke dil ke andar dekh
jo karta tha pyar ki baat
hath mein us ke KHanjar dekh
lakh hon KHatre rahon mein
ruk mat jaana Dar kar dekh
aankhen un se chaar huin
kya guzri hai dil par dekh
manzil tak jo sath na de
DhunD na aisa rahbar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.