lahu mein aaj-kal hiddat bahut mushkil se aati hai
lahū meñ āj-kal hiddat bahut mushkil se aatī hai
kisī ke dard kī chāhat bahut mushkil se aatī hai
ye sach hai jur.at-e-rindāna se qismat badaltī hai
magar har shaḳhs meñ jur.at bahut mushkil se aatī hai
ki is ke vāste neze pe sar ko rakhnā paḌtā hai
miyāñ haq-goī kī tāqat bahut mushkil se aatī hai
ġharībī ko to mil hī jaatī hai do vaqt kī roTī
magar daulat ke ghar rāhat bahut mushkil se aatī hai
lahū kā ghūñT bharte haiñ tabhī chashma ubaltā hai
kisī ke sher meñ jiddat bahut mushkil se aatī hai
yahāñ par chand sikkoñ ke evaz īmān biktā hai
diloñ meñ diin kī chāhat bahut mushkil se aatī hai
lahu mein aaj-kal hiddat bahut mushkil se aati hai
kisi ke dard ki chahat bahut mushkil se aati hai
ye sach hai jurat-e-rindana se qismat badalti hai
magar har shaKHs mein jurat bahut mushkil se aati hai
ki is ke waste neze pe sar ko rakhna paDta hai
miyan haq-goi ki taqat bahut mushkil se aati hai
gharibi ko to mil hi jati hai do waqt ki roTi
magar daulat ke ghar rahat bahut mushkil se aati hai
lahu ka ghunT bharte hain tabhi chashma ubalta hai
kisi ke sher mein jiddat bahut mushkil se aati hai
yahan par chand sikkon ke ewaz iman bikta hai
dilon mein din ki chahat bahut mushkil se aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.