lahu mein Dube sitam-rasida figar chehre
lahū meñ Duube sitam-rasīda figār chehre
kitāb jaise khule hue be-shumār chehre
rahīn-e-daurāñ girāñ-bahā sūrateñ hamārī
hamāre jismoñ kī zīnateñ musta.ār chehre
hazār chehra kitāb āñkhoñ ke rū-ba-rū hai
magar sar-e-rāh bhī jo mil jaa.eñ chaar chaar chehre
koī matā-e-azīz az jaañ chhinī hai sab se
jidhar bhī dekhūñ haiñ rū-ba-rū sogvār chehre
usī se hai āshkār saarā hunar hamārā
hamāre chehre nahīñ hue āshkār chehre
bhalā kise āsmān-e-gardish talāshtī hai
kahāñ haiñ vo ḳhush-numā.iyāñ pur-bahār chehre
lahu mein Dube sitam-rasida figar chehre
kitab jaise khule hue be-shumar chehre
rahin-e-dauran giran-baha suraten hamari
hamare jismon ki zinaten mustaar chehre
hazar chehra kitab aankhon ke ru-ba-ru hai
magar sar-e-rah bhi jo mil jaen chaar chaar chehre
koi mata-e-aziz az jaan chhini hai sab se
jidhar bhi dekhun hain ru-ba-ru sogwar chehre
usi se hai aashkar sara hunar hamara
hamare chehre nahin hue aashkar chehre
bhala kise aasman-e-gardish talashti hai
kahan hain wo KHush-numaiyan pur-bahaar chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.