lahū-rang kaise havā ban gayā hai
salām-e-aqīdat duā ban gayā hai
maiñ chaltī rahī dhuup sahtī huī bhī
safar ḳhud mirā rahnumā ban gayā hai
tasallī tasallī ko denā vo merā
vahī kaam mujh ko sazā ban gayā hai
junūñ-ḳhez lamhoñ ke is gulsitāñ kā
shagūfa shagūfa ḳhudā ban gayā hai
vo ik ism ism-e-mohabbat 'duā' kā
kaḌī dhuup meñ jo ghaTā ban gayā hai
lahu-rang kaise hawa ban gaya hai
salam-e-aqidat dua ban gaya hai
main chalti rahi dhup sahti hui bhi
safar KHud mera rahnuma ban gaya hai
tasalli tasalli ko dena wo mera
wahi kaam mujh ko saza ban gaya hai
junun-KHez lamhon ke is gulsitan ka
shagufa shagufa KHuda ban gaya hai
wo ek ism ism-e-mohabbat 'dua' ka
kaDi dhup mein jo ghaTa ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.