lail-e-shab-tab chaTanon mein nahin
lail-e-shab-tāb chaTānoñ meñ nahīñ
koī mafhūm fasānoñ meñ nahīñ
phir na shab-ḳhūn kā vaqt aa.egā
raushnī un ke Thikānoñ meñ nahīñ
hai tamāshā.iyoñ kā jamm-e-ġhafīr
aks bhī ā.īna-ḳhānoñ meñ nahīñ
apne hī saa.e kī phun-kār na ho
koī shah-mār ḳhazānoñ meñ nahīñ
kū-ba-kū dete haiñ āvāz kise
saaya bhī ḳhālī makānoñ meñ nahīñ
aa ga.ī sā.at-e-ḳhush-guftārī
ab koī tiir kamānoñ meñ nahīñ
lail-e-shab-tab chaTanon mein nahin
koi mafhum fasanon mein nahin
phir na shab-KHun ka waqt aaega
raushni un ke Thikanon mein nahin
hai tamashaiyon ka jamm-e-ghafir
aks bhi aaina-KHanon mein nahin
apne hi sae ki phun-kar na ho
koi shah-mar KHazanon mein nahin
ku-ba-ku dete hain aawaz kise
saya bhi KHali makanon mein nahin
aa gai saat-e-KHush-guftari
ab koi tir kamanon mein nahin
- Book : Sar Sabz (Pg. 25)
- Author : Krishn Kumar Toor
- Publication : Aariz Offset Press 123 Shahzad Bagh Ind. Phase-II Delhi-35 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.