lais ho kar jo mera tark-e-jafa-kar chale
lais ho kar jo mirā tark-e-jafā-kār chale
saikḌoñ ḳhuun hoñ har gaam pe talvār chale
nā-tavānī ne unheñ dariyā pe jaane na diyā
uTh ke sau baar gire raah meñ sau baar chale
terā kūcha hai vo ai but ki hazāroñ zāhid
Daal ke sub.ha meñ yaañ rishta-e-zunnār chale
ai shah-e-husn mukaddar na ho gar terā mizāj
ḳhaak apnī bhī jilau meñ pas-e-rahvār chale
sun ke ye garmī-e-bāzār terī ai yūsuf
naqd-e-jāñ rakh ke hathelī pe ḳharīdār chale
hai yaqīñ hashr meñ bhī ek nayā mahshar ho
uTh ke gar kākul-e-jānāñ ke giraftār chale
fasl-e-gul aa.ī uThā abr chalī sard havā
sū-e-mai-ḳhāna akaḌte hue mai-ḳhvār chale
hogā ehsāñ pa.e gul-gasht agar tū sayyād
saath le kar qafas-e-murġh-e-giraftār chale
der se baiThe the mushtāq-e-suḳhan sab ye 'habīb'
dekh uThte hī tere bazm se huzzār chale
lais ho kar jo mera tark-e-jafa-kar chale
saikDon KHun hon har gam pe talwar chale
na-tawani ne unhen dariya pe jaane na diya
uTh ke sau bar gire rah mein sau bar chale
tera kucha hai wo ai but ki hazaron zahid
Dal ke subha mein yan rishta-e-zunnar chale
ai shah-e-husn mukaddar na ho gar tera mizaj
KHak apni bhi jilau mein pas-e-rahwar chale
sun ke ye garmi-e-bazar teri ai yusuf
naqd-e-jaan rakh ke hatheli pe KHaridar chale
hai yaqin hashr mein bhi ek naya mahshar ho
uTh ke gar kakul-e-jaanan ke giraftar chale
fasl-e-gul aai uTha abr chali sard hawa
su-e-mai-KHana akaDte hue mai-KHwar chale
hoga ehsan pae gul-gasht agar tu sayyaad
sath le kar qafas-e-murgh-e-giraftar chale
der se baiThe the mushtaq-e-suKHan sab ye 'habib'
dekh uThte hi tere bazm se huzzar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.