lakiren khinch kar kya kya wo kaghaz par banata hai
lakīreñ khīñch kar kyā kyā vo kāġhaz par banātā hai
tirā divāna tere husn kā paikar banātā hai
badalte vaqt ne us kā hasīñ pesha badal Daalā
jo kal phūloñ kā tājir thā vo ab ḳhanjar banātā hai
binā gahnoñ ke ruḳhsat ho ga.ī laḳht-e-jigar us kī
amīroñ ke liye jo qīmtī zevar banātā hai
chalo us shaḳhs kī himmat kī ham bhī daad hī de leñ
samundar ke kināre ret kā jo ghar banātā hai
junūñ kī kaun sī manzil pe aa pahuñchā hai dīvāna
jo sūraj ke muqābil mom kā lashkar banātā hai
'farāz' us ke qadam lene kabhī manzil nahīñ aatī
safar ke sirf mansūbe hī jo aksar banātā hai
lakiren khinch kar kya kya wo kaghaz par banata hai
tera diwana tere husn ka paikar banata hai
badalte waqt ne us ka hasin pesha badal Dala
jo kal phulon ka tajir tha wo ab KHanjar banata hai
bina gahnon ke ruKHsat ho gai laKHt-e-jigar us ki
amiron ke liye jo qimti zewar banata hai
chalo us shaKHs ki himmat ki hum bhi dad hi de len
samundar ke kinare ret ka jo ghar banata hai
junun ki kaun si manzil pe aa pahuncha hai diwana
jo suraj ke muqabil mom ka lashkar banata hai
'faraaz' us ke qadam lene kabhi manzil nahin aati
safar ke sirf mansube hi jo aksar banata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.