lakiron ko miTana chahta hun
lakīroñ ko miTānā chāhtā huuñ
muqaddar hī gañvānā chāhtā huuñ
ta.āqub meñ hai mere yaad kis kī
maiñ kis ko bhuul jaanā chāhtā huuñ
girā thā bojh koī sar se mere
usī ko phir uThānā chāhtā huuñ
sun ai duniyā maiñ apnā qad ghaTā kar
zarā tujh ko jhukānā chāhtā huuñ
maiñ rishtoñ ke ḳhas-o-ḳhāshāk se phir
nayā ik ghar banānā chāhtā huuñ
maiñ be-maskan huā huuñ jab se 'kausar'
tire dil meñ Thikāna chāhtā huuñ
lakiron ko miTana chahta hun
muqaddar hi ganwana chahta hun
taaqub mein hai mere yaad kis ki
main kis ko bhul jaana chahta hun
gira tha bojh koi sar se mere
usi ko phir uThana chahta hun
sun ai duniya main apna qad ghaTa kar
zara tujh ko jhukana chahta hun
main rishton ke KHas-o-KHashak se phir
naya ek ghar banana chahta hun
main be-maskan hua hun jab se 'kausar'
tere dil mein Thikana chahta hun
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.